khul kabhi to, khul kabhi kahin
main aasmaan, tu meri zameen
boond-boond barsun main
paani-paani khelun-khelun aur beh jaaun
geele-geele hothon ko main
baarishon se choomun-choomun aur keh jaaun
tu zameen hai, tu meri zameen
khul kabhi toh, khul kabhi kahin
main aasmaan, tu meri zameen
mmm
lab tere yun khule jaise harf thhe
honth par yun ghule jaise barf thhe
aana zara-zara main haule-haule
saans-saans senk doon tujhe
lab tere yun khule jaise harf thhe
honth par yun ghule jaise barf thhe
tu hi tu hai, main kahin nahi
hmm khul kabhi to, khul kabhi kahin
hmm main aasmaan, tu meri zameen
jhuk ke jab jhumka main choom raha tha
der tak gulmohar jhoom raha tha
jal ke main sochta tha
gulmohar ki aag hi mein phenk doon tujhe
jhuk ke jab jhumka main choom raha tha
der tak gulmohar jhoom raha tha
tu meri kasam, tu mera yaqeen
khul kabhi toh, khul kabhi kahin
main aasmaan, tu meri zameen
boond boond barsun main
paani-paani kehlun-khelun aur beh jaaun
mmm geele-geele honthon ko main
baarishon se choomun-choomun aur keh jaaun